rimjhim baarish mein bheegti vo subah yaad hai..
saath jaana tere door tak phir paas aane ke liye yaad hai.
jaldi laut aane ka vaade tera bas yaad hai mujhe ..
vo nigaahein pyaar ki, muskaan meethi labon pe yaad hai.
kuch der saath rahe ek bench pe baithe, do chotey bachhon ki tarah batiyaate,
achanak chup ho jaana door hone se mayus hotey huey bhi muskuraana dono ka yaad hai.
phir ek vaada milne ka jaldi, ek narmsi chuaan ek pyaarasa gale lag jaana..
baarish mein narm dhoop sa apna mil jaana bas mujhe yaad hai..
us subah si subah phir aayi nahi, bas wahin us jagah us waqt mein main rehti hoon.
ek tanha lamhe mein jab yaad chedti hai, tumhe kaise bataun kya kuch kar gujarti hain.
subah mein us jo main kho gayi, meri har hansi wahan reh gayi intezaar mein woh subah kabhi to aayegi.
No comments:
Post a Comment