Sunday, December 5, 2010

शिकवें नहीं है अब जहाँ न कोई शिकायत है यहाँ,
दो नहीं रहते अब इस जहां में ठहरा है सिर्फ इक निशान,
इश्क तेरा और यादों के काफिलें में ख़ुशी बनी रहती हूँ मेरी जान
कौन कहता है यहाँ दर्द रहता है आजकल जाने जान..

तन्हाई को इश्क ने मेरा हमदर्द बना बिठा रखा हैं जवां...

जीतेंगे हम

तेरे प्यार में दिल हारे हम,
तेरे प्यार में ही जीतेंगे हम.
खुद खोकर तेरे जहाँ में सनम,
तुम्हे ढूँढेंगे अपने जहाँ में हम

Friday, December 3, 2010

bichar gaye apne aapse kyun...

LAAYE THE DHUNDH KAR MUJHE TUM, MAIN KHO GAYI THI YAKEEN KE JAHAN SE.
PAAYE HAIN SAB YAKEEN MAINE PHIR TERE JAHANSE ,
KYUN KHO GAYA KAHAN SOGAYA,
JO KHUD HI JAANE KHUDSE KHO GAYE,
KIS RAAH PE KIS MOD PE, JAHAN DHUNDHA MUJHE WAHIN SO GAYE,
AB KISKI TALASH MEIN KIS MANZILEIN AAS MEIN ,
TUM APNE AAP SE HI BICHAR GAYE.....

Thursday, December 2, 2010

dard ho ya khushi pyaar roshan hi kar jaata hai

tumne dekha main kitni nikhar rahi hoon..
mera wajood jaise koi moambatti hogaya hai..
jismein lau harpal jalti hai dard pyaar ka bane..
lamha lamha pighalta hai moam mera us lau se.
roshan kar raha hai mujhe andar se bahar tak..
dekha tumne mujhmein ab vo tej aagaya hai..
dard ho ya khushi pyaar roshan hi kar jaata hai.

Wednesday, December 1, 2010

us shehar mein apne siwaa koi nahi..


maana ki zamaana koi khuda nahi,
na mil pao aisi koi majbooriyaan bhi nahi.
tanhaiyon mein jeena aasan nahi,
har saans mein gehri si khala hoti hai.
khuda ne milaya hai ab vo hi rakhega mila..
hum to wahan tak mil gaye hain tujhmein..
jahan ab duja nazar nahi aata,tum maano ya manno yeh aur hai baat.
kabhi jhankoge andar to paoge ek mere siwaa wahan koi nahi..
pyaar se basaye us shehar mein apne siwaa koi nahi.

Tuesday, November 30, 2010

sirf tum hi rehte ho..

subah se pehle zehan mein tu hai aata mere.
adhkhuli ankhoon mein tera chehra pehle dastak deta hai.
pehli muskaan subah aati hai tere khayaalonse laboon pe.
duniya jahan se pehle tere khayal ,teri yaad bhar jaati hai rang meri duniya mein.
phir din chalta hai saath tere hardum har jagah, kaam mein ,aaraam mein,
sawaalon mein jawaabon mein chalta rehta hai saaya banke tu meri har dhoop mein.
shaam dhalti hai ,roshan ho jaati hai phir tim timaate diyonse yaadein jawan .
raat tanha ab yahan hoti nahi, tere har khayal se rang jaati hai mehfilein sone se pehle.
neendon mein aaye phir khwaabon ke shehar,
jahan tere bina aur mere siwa kuch aur nahi hota.
achhi si baatein. sachhi si raatein, kitne rang aur kitni mulaqaatein,
sab milti hain mujhe apne shehar mein khwaabon ke..
aur subah aati phir nayi sunehri  tere aane ke baad..;))

main kahan rehti hoon sajan tum hi to rehte ho har jagah mein meri..
aur main dekhti hoon jeeti hoon tumko hi apne aas paas aur andar har lamha hardum..

woh subah yaad hai phir baaki sab bhul gayi.

rimjhim baarish mein bheegti vo subah yaad hai..
saath jaana tere door tak phir paas aane ke liye yaad hai.
jaldi laut aane ka vaade tera bas yaad hai mujhe ..
vo nigaahein pyaar ki, muskaan meethi labon pe yaad hai.
kuch der saath rahe ek bench pe baithe, do chotey bachhon ki tarah batiyaate,
achanak chup ho jaana door hone se mayus hotey huey bhi muskuraana dono ka yaad hai.
phir ek vaada milne ka jaldi, ek narmsi chuaan ek pyaarasa gale lag jaana..
baarish mein narm dhoop sa apna mil jaana bas mujhe yaad hai..
us subah si subah phir aayi nahi, bas wahin us jagah us waqt mein main rehti hoon.
ek tanha lamhe mein jab yaad chedti hai, tumhe kaise bataun kya kuch kar gujarti hain.
subah mein us jo main kho gayi, meri har hansi wahan reh gayi intezaar mein woh subah kabhi to aayegi.

mohhabbat ka naam wafaa hai..

naam wafaa ka jud gaya mere naam se tumhe chahne ke baad..
na aayenge ya jaayenge ab hum kahin aur is panaah se..
paaya ya khoya ya khokar bhi hai paaya hi kuch zyada maine.
waqt hi gawaahi dega chahat ki duhaai dega ta umra is safar mein..

Monday, November 29, 2010

pyaar se pyaar zinda rehta hai , nibhaaya nahi jaata..

jo chalta hai saanson mein sargam ki tarah, milta hai har mod pe soch ke.
dhadakta dil mein meethi baansuri jaise, vo pyaar nibhaya nahi jaata.
vo pyaar se pyaara pyaar zinda rehta hai aapke saath aapke hone tak.
aur phir rooh mein tham jaata hai saansein tootne par..
nibhaane ke liye mehnaat hoti hai jazbaaton ki aur soc...hon ki.
phir vo pyaar kaise ek kaam ho jaata hai rishtein chalane ka.

ek lamha sab shor rok dein duniya ke..

ek lamha shor duniya ke sab rok dein,
tu us ek pal mein khudko saunp dein.
zism aur rooh jahan milti hain sadaa.
har soch se parey, har raah se upar..
paak aur saaf mohhabbat ke us pyaare jahan mein.
sirf ek nazar aayega, lambi ek saans naam mohhabbat jiska.
saari qaayinaat se saaf mehsoos kar paayega, noor-e- ishq ibaadat ka,
bas har us lamhe mein beshumaar tu paayega

ho to sirf mohhabbat ho..

Zidd ho toh vo mohhabbat ho..
Zaroorat ho to sirf mohhabbat ho.
Izzaat ho vo mohhabbat mein ho
Wajood bhi tera ishq ho, mazaaron mein bhi mohhabbat.
Gairzaroori jahan nafrat ho.Zaroori mohhabbat ho.
Baaton jazbaaton mein, suni- ansuni fariyaadon mein.
Maan lena phir tum mere dilbaar hum huey poore yahaan.
hai paak aur aakhri dua jahan
Mohhabbat hi hai vo apna khuda.

jaane vo kaunsi baat hai, jo neenv mohhabbat ki hilaa gayi.

jab dost hua karte the, tumne mohhabbat bana liya.
main maanti nahi thi tumne har pal jataa diya,
ki thi ,hai aur rahegi tu hamesha meri mohhabbat.
ab jo hogayi mohhabbat humhe,tumne ajnabi bana diya hai

jab chahat hi khatm thi toh mohhabbat mein deewaana bana diya.
deewaane ban gaye jab, toh tumne mitaa diya,
dilon se ya rooh se yeh toh ab bhi pata nahi.
magar zindagi ke din raat se judaa kiyaa hain,
na maloom kya woh baat hai, jo  mohhabbat ki neenv hi hilaa gaya

Thursday, November 25, 2010

tumhe haq hai..

tumhe haq hai ke karo sawaal, tumhe izaazat hai raho naraaz apni mohhabbat se.
saadgi aur shiddat se diye hain tumne laakhon pal mohhabbat ko seedhey.
ab kuch zeher bhi milega tumse na koi nasoor ban jayega mere dil mein..
jab bhi koi teer zeher se bujha aayega har roj yahan mere dil pe.
pyaar ke meethe jharne se mere dil... mein phir amrut sa ban jaayega..

sachhe tum achhe hum hojaayenge phir bachhe hum.

yeh mod bhi nikal hi jaayenge..
yeh daur bhi gujar hi jaayenge.
woh pal bhi aayega sab shor tham jaayega.
subah phir hogi wahin us dagar pe..
jahan the mile achhe aur sachhe ...
phir ho jaayenge nanhe se bachhe..
shuruat hogi nayi ek subah ki baatein puraani magar hongi sachhi

chalo aaj kuch aur baat karte hain.

chalo aao aaj kuch aur baat karte hai.
khaak ho vo mohhabbat teri ,ussey ab asmaan mein chod te hain,
kuch sapne jo apne hai ,tere mere hone se pehle hai,
chalo aaj baat un haseen aur jawaan khwaabon ki karte hai..
kisi aur mohhabbat ki baat bayaan aur subah aaj karte hain..

Sunday, November 21, 2010

seedhi saadi bebaak mohhabbat.

sachhi aur saaf hai teri yeh mohhabbat..
badi shiddat se maangi jo tumne khuda se yeh ibaadat..
koi baat koi shaqsh issey jhoothla na paayega.
meri seedhi teri saada aur bebaak yeh mohhabbat..

Saturday, November 20, 2010

jawaab ban gaye kaise ab sirf sawaal tere.

yeh khalish yeh khala ab chodengi mujhe kyun bhala..
tum the har jagah ab ho bilkul judaa,
na nazar na khayal mein.na rahi kisi chah mein.
kabhi jawaab thi main sab banke jahan mein tere..
aaj lagta hai bas rah gayi hoon sawaalon mein tere

ek ladki pagli si naya naam roj tera hua karti thi

ek ladki pagli si har pal rootha karti thi..
teri khaatir vo duniya se har din ladaa karti thi.
sang rehene ki chah mein waqt churaaya karti thi.
meethey churaaye un palon mein ek lambi saans jiya karti thi,
nakhro, shona jaane kya kya naam naye roj hua karti thi.
...har adaa pe teri khiljaati thi rang indradhanushi ban jaati thi.
tum jis disha mein behte the , us rukh mein saansein apni bharti thi..

Friday, November 19, 2010

baat badi ya pyaar bada.

Pyaar se baatein badi jab hone lagi..
Jazbaaton se upar bartavon ke giley hone lage.
Kabhi na hoti thi koi baat badi mujhse jahan.
Na hui thi kami mere liye chahaton mein kabhi.
Achanak har baat badi aur main choti honey lagi..
...Umeed mere vishwaas ki, pyaar sharton pe nahi hota..
Kinaare pe takraati lehron se reit mein phisal gayi..

pyaar ki jyot..

chanchal ,shokh magar sheetal si behti hui nadiya hoon main..
achha buraa sab kuch liye phir bhi behti hui, kisi baat se kisi paap se,
rooh meri maili hoti nahi, paawan pyaar ki jyot liye jeevan si behti hoon ma

dastak de rahi hai..

phir se jazbaat dastak de rahe hain,
magar khayalaat hai ki bhatak rahe hain
kuch pane ki kwahishon mein,
aur ek unbujhisi pyaas khatm hi nahi hoti,
zehan kuch kehta hai dil kuch or aankhein kuch
... har pal sapne dikhati hai yahi hai zindagi..

Tuesday, November 16, 2010

ab koi dar nahi..

har dard se door kiya har dar se mujhe judaa.
ab na khone ka tumhe dar hai, na judaai ki hai fikar..
mujhe tha ,hai aur rahega har jeeta lamha usi tarah.
pyaar se pyaar pyaar se zyada,
yaar se yaari harsu yaar se bhi zyada. yaad rahega har lamha ek aadha iraada aadhey se kuch zyada

Sunday, November 14, 2010

koi mitaa na sakey raaz tere mere

tum kahan kahan se mujhe mitaaoge ,
aur main kahanse khatm karun tumhe aur mujhe.
yaadonse ,apni ragonse ya kitaabon se, tumhi batao kahanse.
ab tak sawaal hai kya kiya kyun kiya ,
rabba tumne hi bheja ussey yakeen banake mera.
...tumhi aao aur samjhao kaise hua vo fareb mera..

duayein..ajmersharif..

duayein aur khushnuma hawaein lekar aayi hai surmayi shaam, yeh sab hawayein aa rahi hai tere shehar mein aaj raat ke aadhe peher ,ab honge bas hum miley huey ban ek sada, ek jahan aur ek hamesha saath alehda mohhabbat

khwaaja ji....

sajda kiya hai aaj khwaaja tere darbaar mein.
mohhabbat ki salamati ko diya tere haath mein.
aayi hoon aaj lekar maula teri sab duayein aur meherbaani..

yakeen hai mujhe bhi ab tum milaoge mere maula .
...jholi bhar jaoge har khushi se ,
zarre zaree mein phir se mere saath kar denge har savera
saath aur paas hamesha pyaar ka haath uska
jisne maanga tha rab se aur paaya mujhe laakhon sajde aur duaon ke baad

khushboo

ab bhi tere paas hoon main,meri mehndi ki khushboo.
aankhein band karo tum ab bhi ,main hi hoti hoon rubaru..

teri soyi mohhabbat jagayi hai maine..
korey kagaaz se dil pe
...mehndi ke phoolon mein chupakar,
tasveer teri banayi hai maine..

aankhon ki bhasha mein hanste hanstey teri baat tujhe hi sunaayi hai maine

dost..

ek dost jo itna pyaara hai.
har waqt usne sanvaara hai .
mujhe samjha hai mujhe jaana hai.
har pal mujhe sambhala hai..
vo khud itna pyaara is duniya se nyaara hai.
...meri aankhon ka aisa taara hai. har haal mein mujhe hansaata hai.
har pal vo mujhe bas chahta hai, no koi umeed na koi hasrat ussey.
bas meri har pal khushi vo chahta hai..
anmol adbhut aur dulaara dost vo mera sahara hai.

nayi subah..

subah ki dhoop mein ek narm si chaanv hai.
dil mein mere ab bhi teri chahton ke gaanv hai..
vo shehar jo hamara hai apne andar samaya hai.
dastak de raha hai subah mein mujhe bula raha hai.

shyam tere rang jaisi shaam

kya shaam hui aisi shyam tumsi hai shaam hui.
kuch hawa chali kahin zulf udi, umeedon si hai dhoop dhali.
yaadon ke aangan mein kitni pyaari si yeh raat khili.
sheetal pawan ke jhonkon mein, madhur prem ke sawaan mein.
hasraaton ke jhoolon mein, main chandni ban chamakti hoon,
...ujaali meethisi masti mein leharati hui jhoomti hoon.
kal bhi thi main nayi naveli preet ,main ab bhi wahin pe basti hoon..

Friday, November 12, 2010

ab bhi khamosh hoon main

yeh jubaan khamoshi ke samundaar mein doobi hai.
dard dil mein chur hai,nas nas mein ghum ka hi noor hai.
baar baar jo mujhe chalta jaayega, khuda na kare jab jubaan pe aayega
chahe jitna chup jaoge tum yahan, chahe jis jahaan mein bhag jaoge.
mujhe yeh bata humdum apne zameer se kya bach paoge.
...kaise rab se aur khudse tum kya nazar bhi mila paoge.

kaun kissey samjhaayega

kya sahi kya galat kaun kisey samjhaayega.
kya achha aur kya bura kaun kissey bataayega..
mera main har waqt paak hai, rab jaanta hai kitna saaf hai..
tumne hai jo kiya tum hi jaante ho, ab apne kisi bachhey se kya sawaal karwaate ho..

Thursday, November 11, 2010

aise bhi din hai.

tum rishton ke dar pe bahut der baithe rahe ,

tere haathon mein chahat thamai hai maine..

teri khwahishein kabki khatm ho gayi thi,

phir bhi jeene ki hasrat jagai hai humne.

soi hui teri mohhabbat soye huey sab tere khwaab
...
phir ek baar apni masoomiyat se uthaaye hai maine..

teri baat tujhko hi badi chahaton se sajakar,

meethi hasraton ke kai motiyon mein pirokar
tujhko hi phirse sunai hai maine.
36 minutes ago clear