Thursday, December 2, 2010

dard ho ya khushi pyaar roshan hi kar jaata hai

tumne dekha main kitni nikhar rahi hoon..
mera wajood jaise koi moambatti hogaya hai..
jismein lau harpal jalti hai dard pyaar ka bane..
lamha lamha pighalta hai moam mera us lau se.
roshan kar raha hai mujhe andar se bahar tak..
dekha tumne mujhmein ab vo tej aagaya hai..
dard ho ya khushi pyaar roshan hi kar jaata hai.

No comments:

Post a Comment